Monday, September 15, 2008

Reshmi Dupatta

College ka wo pehla din
Aur apni pehli mulaqat
Yaad hain aise
Kal ki baat ho jaise

Tumne jo wo surkha gulabi dupatta odha tha'
Main to bas dekhta hi reh gaya
Meri aankhon me wo tasvir basi hai aaj bhi
Kal ki baat ho jaise

Shayad dosti ki pehel maine ki thi
Puchha tumse tumhara naam
Kis sargoshi se kaha tha tumne - 'Shadab'
Kal ki baat ho jaise

Apne canteen ki wo pehli chai
Jo hamne saath pi thi
Uska jayka ab bhi jubaan pe hai
Kal ki baat ho jaise

26 no ki wo bus
Jisne pehli baar mujhe tumse durr kiya
Aaj bhi dekhta hun - aati jati hai
Kal ki baat ho jaise ...
Kal ki baat ho jaise ...

Chourahe Par

Aaj khada chourahe par ye sochun
Kis rah hai meri manzil
Kis or hain mere sapne
Ek talash - ek dwand me hun

Khud se hi anjan
Khud se hi bekas
Jindgi ke mayne kya hain
Aaj khada chourahe par ye sochun

Chahat to hain dil me kai
Shayad junun dhundh raha hun
Kahan milega - kaun dega mujhe
Aaj khada chourahe par ye sochun

Zindgi me makaam mile
Ek unchai haasil ho
Wo ek subeh kab hogi
Aaj khada chourahe par ye sochun!!!

Mumbai

Daudti bhagti
Behti jati
Har pal khal-khal
Jaise nadi ho!

Waqt ke thapedo ko andar samete
Adig-ajar
Sehti jati
Jaise diwar ho!

Sapno ki nagri
Apno ki nagri
Ek bejor mel
Jaise sangam ho!

Ye sikhati hai raftar
Aur deti hai housla na thamne ka
Har kimat par
Jaise leher ho!

Kaun modega ise
Kaun todega ise
Ye shahar atut hai
Jaise chattan ho!!!

Peaceful Tomorrow

Tommorow will be peaceful
With no blood on d street
No tears in d eye
Flowers will blosom again
D sun will shine bright

We shall forgive
And forget the misery
They are history
Never to be repeated
It must be buried
In the backyard of our conscience

We shall smile
As d day is coming
With hope and tranquility
Just wait to grab it
To rejoice and live
Tommorow will be peaceful!!!