Friday, July 04, 2014

Chala ek din phir

Chala ek din phir akele fikr ko bhulane...
Kadam thakte rahe aur housala tut-ta raha

Dil ki gehraeyon me rehta tha fikr ghar bana kar...
Wahan jahan roshini pahunchne se pehle hi dam tod deti hai

Dekha ek gardish me sane bachche ko sadak ke kinaare khelte hue... 

Pattharon se khel raha tha wo...
Khush tha unhe khilona samajh kar...

Kuchh hausala mila...

To phir ek baar ghar ki taraf kadam mud gaye...

Muskurahat ne ki jab guftgu udaasi se...

Muskurahat ne ki jab guftgu udaasi se...

Hum muskurahat hain ...

Aate hain aur jate hain hawa ki tarah...
Par tum kyon nishan chhod jate ho...

Hum udaasi hain...

Aur andheron me rehte hai...
Hamein kya pata silvaton ki vajah...

Hum jab aate hain...

Fael jaate hain ujaalo ki tarah...
Ek ek shakl ko khubsurat tasvir bana dete hain...

Aur ye hamaari kismat hai ke badkismat bana de use...jo hamein chah le aur panah de de....