Tak taki lagay baitha hun ek safed kagaz lekar,
Shabdon ke saath luka chhipi khel raha hun,
Socha ta hun ke kaisa hota gar samay ki koe tijori hoti...
Har ek khas pal ki video recording hoti uss tijori me,
jise hum dekh pate jab bhi dil kare apne sapno ki TV me.
Sochiye kitna diljasp hota wo ehsaas jab hum khud ko school jaate dekh pate...
Barish me bhingte, dhul me sane, doston ke saath cricket khelte ya phir kabaddi ke maidan me... khud ko jeet te...haarte dhekhte...
Kaisa hota gar khud ko Papa ke saath bazaar me kharidari karte dekhte aur maa ki god me sar rakh kar chain se sota hua dekhte.
Masumiyat to umra ke saath purani aur dhundhli hoti jati hai...
par wo tijori khinch le jaati hamein uss samaykhand me jab apnon ki hansi se bhor hua karti thi...
aur daadi ki kahaniyon se saanjh...