Monday, September 11, 2006

Ae Dehshatgardon

Dhamaka! Ek Aur Dhamaka!
Kitne Aur Dhamake Karoge Ae Dehshatgardon?
Thak Jaoge, Tut Jaoge Ek Din,
Allah Ke Bandon Ka Nishaa Na Mita Paoge.

Kiski Hasti Se Tumhe Darr Lagta Hai?
Uski Jinhe Tum Marte Ho?
Ya Phir Unki Jinhone Tumhari Hasti Tumse Chhin Li Hai?
Na Jane Tum Kyun Bhul Jate Ho Ke Allah Sabse Bada Wali Hai.

Kya Dusron Ke Badan Se Nikla Khun Tumhare Khun Se Sasta Hai?
Kya Amma Ke Aakon Se Bahe Aansuon Ka Bhi Koi Mazhab Hota Hai?
Jaane Do - Tum Kya Jano Insaani Jazbaaton Ko,
Bech Jo Chuche Ho Apne Emaan Haiwano Ko.

Ek Din Jab Kayamat Ki Gadi Aayegi,
Aur Tumhara Shumar Katilon Me Hoga - Jiske Haath Masumon Ke Khun Se Sane Hai,
Un Haaton Se Kya - Sazda Kar Paaoge Tum?
Us Din Jab Apne Dil Ke Gariche Se Ander Jhanko Ge,
Darr Jaoge - Apne Ander Bhi Ek Insaan Ko Paoge.

Par Us Din Tumhara Lautana Mumkin Na Hoga.

No comments: