Wednesday, August 01, 2007

Zindgi Bhi Kamal Hoti hai ..

Kabhi ye to kabhi wo,
Kabhi wo to kabhi ye,
Na koi oor na koi chhod,
Ye zindgi bhi kamal hoti hai!!!

kabhi rulati to kabhi hansati,
Kabhi hansati to kabhi rulati,
Na jane kin rahon pe ye le jati,
Ye zindgi bhi kamal hoti hai!!!

Kabhi tarap to kabhi sakun,
Kabhi sakun to kabhi tarap,
Ek ehsaas jo rehti hai saath,
Ye zindgi bhi kamal hoti hai!!!

Kabhi runk to kabhi raja,
Kabhi raja to kabhi runk,
Har din - har umra ek paheli hai,
Ye zindgi bhi kamal hoti hai!!!

Kabhi gard to kabhi meharban,
Kabhi meharban to kabhi gard,
Apni kokh me bhvishya ko samete hue ye zindgi...
Bus kamal hoti hai!!!

2 comments:

Ashish Maharishi said...

Na jane kin rahon pe ye le jati,
Ye zindgi bhi kamal hoti hai!!!


bahut umda likha hain chandu

Sudhanshu Verma said...

Woh kahte hain na "Jo hota hai woh acche ke liye hota hai" par kabhi socha hai "Agar kuch nahi hota hai to kya hota, hum sab ko hone ne mara"