Monday, August 21, 2006

KASHTI

Aaj Chand Jane Kyon Itna Safed Hai,
Pahle To Ise Kabhi Aisa Nahi Dekha,
Khamosh, Sard aur Bilkul Akela Sa,
Aaj Badal Bhi Ise Kajal Nahi Lagata II

Kya Ho Gaya Hai - Ya Kya Hone Wala Hai,
Main Sochta Hun Baitha Nadi Kinare,
Har Leher Jo Kinare Se Takrati Hi - Kuchh Kehti Hai Jaise,
Na Jane Kaun Hai Jo Aane Wala Hai II

Pedon Ke Patte Hawaon Ki Dhun Pe Ga Rahe Hain,
Chakod Sakhon Par Baith Chand Ko Niharte Hain,
Swagat Sa Mahaul Lagta Hai Aaj Chandni Raat Me,
Jane Kyon Har Aane Wale Pal Pe Hain Meri Palke Tiki II

Jo Durr Dekhta Hun To Kuchh Dhundhla Sa Dikhta Hai,
Ek Aakriti - Jo Lehron Pe Uthti Aur Baithti Hai,
Mujhe Paas Aati Si Lagti Hai Wo Dhime Dhime,
Nadi Ki Dhar Par Bani Roshni Ki Diwar Ke Us Par Hai Wo Shayad II

Duri Jo Hai Lambi - Lamha Ban Mit Rahi Hai.

1 comment:

priyums said...

Shekhar very beautiful..U must keep writing more..