Thursday, June 14, 2007

Mera Shunya

Aaj bohot dino baad kuchh likhne ki koshish phir se kar raha hun,

Pata nahi kyon na koi kaaran dhund pa raha hun,

Na hi koi shabd,

Bilkul shunya, Bilkul Shunya.


Shayad ulajh gaya tha apne aap me, apni khali zindgi me,

Rozmarra ki bhag daur me, naye manzil ki talash me,

Mahino baad bhi usi makam pe khada hun aaj,

Bilkul Shunya, Bilkul Shunya.


Aisa kyon hai ke kuchchh bhi yaad nahi aata,

Na koi manzar na hi koi vakya…kahan tha main?

Kis gard me tha, Kis Firak me tha,

Bilkul Shunya, Bilkul Shunya.


Aaj jab baitha hun phir se to dil, dimag aur kalam saath chalne se inkar karte hain,

Shayad mujhe pehchanne se inkaar karte hain,

Kaise bataun unhe .. ke main tha …

Bilkul Shunya, Bilkul Shunya.


No comments: