Wednesday, June 20, 2007

Phir hum kabhi nahi mile!!!

Purane Maszid ke Pichhe
Mahe Kamil me baithi thi wo mahroo
Muntazir thi mere liye
Aaj phir maine waqt se bewafai ki thi

Uske dudh-dhule chehre par tabbassum dekhna mera junu tha
Uske paas ja kar kaha - "Muaf karna der ho gayi"
Usne usi sargoshi se kaha - "Bahut der ho gayi"
Saffaq labz the go sach the

Wo ja rahi thi shehar se durr kisi mukhtalif raste
Maine fikro-nazar puchha - "Kab aaogi"
Dile-tabah ne suna uska jawab - "Kabhi nahi"
Hizr aayi to gurur jata raha

Uski aakhon me shafkat ke saath zahanat pahle kabhi nahi dekhi thi
Apne aapko es kadar bedar-bekas pahle kabhi nahi paya tha
Aaj bisate-hasti me ek mohra bana jiski maat hui
surur-E-Ishq Khalish ban jata raha

Kar bhi kya sakta tha main,
Kurbat me to saaye bhi saath chhod jate hain
Ganimat thi us waqt ye baat zehen me aayi
Warna munsifi kiski fitrat hai

Aaj phir kai saalon baad usi purane maszid ke pichhe
Khud ko uski yaadon ke aagosh me paya
Wo aaj bhi muzammid hai kahin
Dil me aaweja tasviren mujhse baatein jo karti hain

Urdu - English

1. Mahe Kamil - Full Moon, 2. Mahroo - Moon Face, 3. Tabbassum - Smile, 4. Sargoshi - Tough words in ears

5. Saffaq - Painless, 6. Labz - word, 7. Go - However, 8. Mukhtalif - Different, 9. Fikro-nazar - Rational Eyes

10. Dile-tabah - Ruined heart, 11. Hizr - Separation, Gurur - Pride, 12. Shafkat - Affection,

13. Zahanat - Wisdom, 14. Bisate-hasti - Plot of chess of life, 15. Mohra - Pawn, 16. Maat - Defeat

No comments: