Wo bargad ke ped yahan kahan,
Wo sarson ke khet yahan kahan,
Jo chamak khinch layi hamein,
Ab jo khojen sakun to wo mile yahan kahan.
Udte the aazad gagan me jahan roz sham-savere,
Wo josh aur wo baat ab yahan kahan,
Pahle dano ki thi na koi kami aur pite the pani jharne me,
Ab chhaton* aur munderon** par baith kar khane me wo baat kahan.
Hawa me daud lagaya karte the jab,
Gaate the geet yaaron ke sang,
Wo chahat aur unchaai to ab bhi hai,
Wo alladpan*** aur diwangi ki misal yahan kahan.
Ji karta hai ke ab laut chale hum,
Ja wapas apne aasman ko chume hum,
Dum ghut ta hai in eent ke ghosalon**** me,
Jagti aakhon ke sapno me ab wo baat kahan.
* Roof
** Railings
*** Carelessness
**** Nests
1 comment:
Dude this one is the best ... way to go!
Post a Comment